Apne hone par mujhko yaqeen aa gaya!

Zindagi Na Milegi Dobara poetry was written by Javed Akhtar  and then Farhan Akhtar was turn it into voice. This evergreen Poems will always touch your heart and encouraged you.

1-Apne Hone Par Mujhko Yaqeen Aa Gaya

pighle Nilam Sa Bahta Hua Yeh Samaa
Nili Nili Si Khamoshiyaan
Na Kaheen Hay Zamin, Na Kahin Aasman
Sarsaraati Huyi Tehniyan, Patiyan
Kah Rahi Hay Keh Bus Ik Tum Ho Yahan
Sirf Mai Hoon
Meri Saansain Hen Or Meri Dharkanen
Aesi Gahraaiyan, Aesi Tanhaaiyaan
Or Mai Sirf Mai
Apne Hone Par Mujhko Yakin Aa Gaya.

2-Ye Jaane Kaisa Raaz Hai

Ek Baat Hay Jo Hoton Tak Aayi Nahin
Bus Ankhoon Se Hay Jhankti
Tum Se Kabi , Muj Se Kabi
Kuch Lafz Hen Wo Mangti
Jin Ko Pehen Ke Hontoon Tak Ajaye Wo
Avaaz Ki Baaho Me Baahein Dal Ke Ithlaye Wo
Lekin Jo Ye Ek Baat Hay
Ehsas Hi Ehsas Hay
Khushboo Si Hay Hava Me Terti
Khushboo Jo Be-Avaaz Hay
Jiss Ka Pata Tum Ko Bhee Hay
Jiss Ki Khabar Mujh Ko Bhee Hay
Dunia Se Bhee Chhupta Nahin
Ye Jaane Kaisa Raaz Hai.

3-Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Jab Jab Dard Ka Badal Chaya
Jab Ghum Ka Saya Lehraya
Jab Aansoo Palkon Tak Aaya
Jab Yeh Tanha Dil Ghabraya
Humne Dil Ko Yeh Samjhaya
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai?
Duniya Me Yunhi Hota Hay
Ye Jo Gahrey Sannatay Hen
Wakt Ne Sub Ko Hi Baante Hen
Thora Ghum Hay Sub Ka Kissa
Thori Dhoup Hay Sub Ka Hissa
Aankh Tri Be-Kaar Hi Nm Hay
Hr Pal Ik Naya Mosam Hay
Kyun Tu Aesey Pal Khhota Hay
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai?

4-Toh Zinda Ho Tum

Dilon Me Tum Apni Betaabiyan Le Ke Chal Rahe Ho
Toh Zinda Ho Tum..
Nazar Me Khwaabon Ki Bijliyaan Le Ke Chal Rahe Ho
Toh Zinda Ho Tum..
Hava Ke Jhoonkon Ke Jaisey Azaad Rahna Sikho
Tum Ik Darya Ke Jaisey Lahron Me Behna Sikho
Hr Ik Lamhey Se Tum Milo Kholay Apnee Baahen
Hr Ik Pal Ik Naya Samaa Dekhie
Jo Apnee Ankhon Me Hairaniyaan Le Ke Chal Rahe Ho
Toh Zinda Ho Tum..
Dilon Me Tum Apnee Be-Taabiyan Le Ke Chal Rahey Ho
Toh Zinda Ho Tum..

XOXO!

 

  • Comments ( 0 )

  • Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

TOP